Blogspot Blog Header Me Logo Kaise Lagate Hai is post me mai aapko isi topic ke bare me batane wala hu .
Blog ya website ke liye logo bahut hi important hota hai kyu ki logo se hi hamare blog ka sahi pahchan hota hai .
Blog ya website me logo lagane se hamare blog ke look me bhi bahut changes aata hai .
Blog ke header me logo lagana mushkil nahi hai yah bahut hi easy hai iske liye aapke paas ek logo hona chahiye .
Internet par bahut si free Logo Maker sites hain jahan se aap bilkul muft me apne blog ke liye logo create kar sakte hai , to chaliye dosto logo lagate hai .
Blog Header Edit Kijiye
Blog me logo upload karne ke liye sabse pahle Blogger dashboard par jaaiye login karke aur setting me jaaiye .
#1. Sidebar me layout ka option milega us par click kijiye .
#2. Aapke samne ek new page open hoga usme header edit karna hoga header edit par click karke header ko edit kijiye .
Blog Header Me Logo Upload Kijiye
Aapke Blog ka header edit ho chuka hai ab yaha par logo upload karna hai .
#1. Blog title dale jo aapke blog ka title hai.
#2. Blog description ( meta tag ) dalna hoga jisase related blog site hai.
#3. Logo choose kare apne file folder se jaha par logo save kar ke rakhe ho.
#4. Instead of title and description ko tick karna hai.
#5. Ab last step me save button par click karke logo save kar lijiye .
Save karne se pahle dhyan rahe description likhna na bhule kyunki description ( meta tag ) google search ya other search engine me aapke blog ko laane ke liye bahut jaruri hota hai .
Ummid hai Blog Header Me Logo Kaise Lagate Hai aap samajh gaye honge yadi phir bhi koi problem aaye to aap hum se jarur puche .
Post ko like , share aur social media par hame follow karen .