Custom Professional Email Kaise Banaye yes friends is post me ham isi topic pe baat karenge aur janege custom email id kaise create kiya jata hai .
Yadi aap kisi blog ya website ke founder hain aur aap ke pass apna khud ka domain hai aur Professional Email id banana chahte hain to aap kuch aasan step ko follow karke custom email create sakte hain .
yadi aap kisi domain registrar se jaise godaddy.com ya 1&1.com se Custom Professional Email plan lete hain to minimum 200-250 rupye aapko per month kharch karna pad sakta hai .
Lekin is post me main aapko aisa trick batane wala hu jisse aap free me Custom Professional Email bana sakte hain aur aapko koi email plan ke liye paise bhi nahi dene honge .
Custom Professional Email banane ke liye sabse pahle aapke pass ek domain name hona chahiye yadi abhi tak aapke pass custom domain nahi hai aur aapko domain purchase karne madad chahiye to iske liye maine kuch article likha hai aap use padh sakte hain .
Godaddy se sirf 149 rupye me .com domain kaise kharide iske liye aap is post ko padhe :- Godaddy Se Rs149 Me Domain Register Kaise Kare
Namecheap se low price me domain kaise kharide iski jankari ke liye aap is post ko padhiye :- Namecheap Se Domain Kaise Buy Kare – Full Details
Free me domain Kaise aur kaha se kharide iski jankari ke liye aap is post ko padhiye :- How To Register Free Domain For Blogger
Chaliye friends Custom Professional Email banana shuru karte hain bas aapko mere bataye gaye kuch simple steps ko follow karna hai .
waise to maine is post me jyada images ka istemal kiya hai jisse aapko mere bataye gaye steps ko samjhne me aasani ho .
Custom Professional Email Kyun Banaye ?
aapke man me ye sawal to jarur hoga Custom Professional Email kyu banaye isase hame kya benifit milega .
Agar aapke paas custom email rahega to aapko gmail ya yahoo mail in sabki jarurat nahi hogi Aapke customer ya reader ke paas aapke website se koi mail jaayega to professional look dikhega .
Jaise aap agar gmail use kar rahe hain apne site ke liye aur aapka koi reader aapke website ko subscribe karta hai to jo confirmation mail jaata hai wo example [email protected] ese jaata hai aur agar aapke paas custom email hai to wo ese jaayega example [email protected] Matlab sabhi email aapke domain ke name se jaayega jaise mera hai [email protected]
Account Create Kare :-

Custom Professional Email banae ke liye sabse pahle aapko zoho ki site par jana hoga zoho site par jane ke liye is link par click kijiye , is site par aane ke baad signup for free par click kijiye .

Yaha par ek account create karna hoga account banane ke liye apna email id enter kijiye iske baad password wale box me ek strong password create kijiye.
Aap chahe to social media ke dwara bhi login kar sakte hain yaha par google+ aur linkedin ka option diya hai .
Signup for free par click karke account bana lijiye iske baad aapke email par ek confirmation link jayega us link par click karke account ko activate kar lijiye .
zoho.com ke madhyam se aap se aap Custom Professional Email alawa CRM , Help Desk , Books aur Apps bhi create kar sakte hain .
CRM , Help Desk , Books aur Apps ke bare me aapko aage chalkar padhne ko milega filhal to is post me ham Custom Professional Email banane wale hain .

Sabse pahle login karke home page aaiye home page par mail ka option milega uspar click kijiye .

Yaha aap se mobile number manga jayega account ke security ke liye add mobile number par click kijiye .

Sabse pahle country code select kijiye matlab aap kisi country me ho aur aapna mobile number kis country ka hai .
Mobile number enter karke apne computer keyboard se enter button press kijiye aapke phone par ek verification code aayega us code ko box me daliye aur verify code par click kijiye .
Zoho mobile number verify kyu karta hai kya aapko pata hai iske bare me yadi nahi pata hai to mai aapko batata hu verification code is liye aata hai jisse zoho ko pata chal sake ki jis mobile number ko aapne enter kiya tha wa aapka hi hai .
Email Setup Kare :-

Add your existing domain for email hosting with zoho and create domain base address ko check karke proceed button par click kijiye .

Sidebar se domain par click kijiye uske bad ad domain jaha 14 number arrow direct kiya gaya hai us par click kijiye , Box me full domain name enter kijiye aur aur ok par click kijiye .
Domain Verify Kare :-

Domain add karne baad domain ko verify bhi karna hoga iske liye verify your domain par click kijiye .

Jaha par arrow 18 ka direction diya gaya hai waha click karke list se domain registrar ko select kijiye matlab aapne domain kisase purchase kiya hai .
Example ke taur par aap dekh sakte hain maine godaddy se domain liya hai to maine godaddy ko select kiya hai , aapko bhi aise hi karna hai .
Domain verify karne ke liye aapke pass 3 options hai pahla CNAME , dusra txt aur tisra HTML is tutorial me ham pahle wale ( cname ) metode ka istemal karenge kyuki ye sabse easy hai.
Cname metode ko choose kijiye aapke samne kuch code show hoga jise hame apne domain name server me add karna hoga .

Sabse pahle apne domain registrar ki website par login karke jaaiye aur jis domain ko zoho site par add kiya hai use select kijiye .

DNS zone file pe click kijiye aapke saamne ek page open hoga jisame ad record wale option par click kijiye .

Record type me CNAME Alias select kijiye Host me jo code aapko zoho site se mila tha use daliye aur Point to me jo dusra code tha use enter kijiye TTL me 1 hour rakhiye iske bad finish par click kijiye .

Yaha par record ko save karne ke liye kaha jayega save changes par click karke record save kar lijiye , aur wapas zoho site par aa jaiye .

1.] CNAME record aapne domain nameserver me successfully add kar liya ab proceed to cname verification par click kijiye .
2.] verify now button par click karke domain verify kijiye .

Ab Custom Professional Email create karna hai iske liye domain se pahle box me kuch input daliye isame aap admin , contact , ya apna name bhi likh sakte hain , ye sab karne ke bad create account par click kijiye .
Example aap image me dekh sakte hain mera domain name already waha par show ho raha hai @blogfree4u.com aur maine domain se pahle admin likha huwa hai .

Aap chahe to multiple email id create lar sakte hain proceed to ad user par click karke yadi sirf ek hi mail id istemal karna kai to skip par click kijye Yaha se aap aur bhi user create kar sakte hain ya skip bhi kar sakte hain

Group bhi bana sakte hain jitne user chahe utne add kar sakte hai iske bare me next post me bataunga filhaal ise bhi skip kar dijiye .
MX Record Add Kare :-

Abhi tak to apne domain verify kar liya aur mail id bhi create kar liya hai , lekin aapke dwara banaye gaye mail account ko use karne ke domain MX Record add karna hoga iske liye dobara domain registrar ki site jana hoga .

Yaha par aapko 2 record add karna hoga sabse pahle Domain select krake add record pe click kijiye .
zone type me MX ( Mail Exchanger ) select kijiye host me @ aur point me mx.zoho.com enter kijiye .
Priority me 10 rahega aur TTL me 1 hour hi rehne dijiye isake bad add another par click kijiye .
Isi tarah dusra record bhi add karna hai dusre record me Host @ , Point mx2.zoho.com , Priority 20 aur TTL 1 hour rakhiye aur finish par click kijiye .

Mx record add karne ke bad save changes par click karke record save kar dijiye .

Next par click kijiye .

Yha bhi Next par click kijiye.
TXT Record Add Kijiye :-

Ek aur record add karna hoga domain me txt record wapas domain registrar ki site par jaaiye .

Add record par click kijiye record type me TXT select kijiye Host me @ rakhiye TXT value me jo code aapko zpho par mila hai use daliye aur TTL me 1 hour hi rehne dijiye finish par click kijiye phir save changes par click karke record save kar dijiye , aur wapas zoho site par aa jaiye .

Next aur skip karte jaiye .

Yah last stage hai aap dekh sakte hain sabhi basic setup aap complete kar chuke hain aapka Custom Professional Email account ready hai .
Jis Custom Professional Email ko aapne host kiya hai uska istemal karne ke liye aap
Microsoft Outlook Me Configure kar sakte hai iski jankari ke liye aap is post ko padhe :- How To Configure Zoho Mail In Microsoft OutLook ~BlogFree4u
I Hope aapko yah post acha laga ho ise apne dosto ke sath facebook , twitter jaise sites par share jarur kare .
Yadi aapke man me isase related koi sawal ho to aap hum se puch sakte hai aap ki problem ko solve karne ke liye har sambhav koshish ki jayegi .
✵✵✵ Happy Blogging ✵✵✵